Sach ya Jhuth?

Yaad to ab bhi ata hun tumhe,
Teri muskan ne bola hai ye,
Sach na sahi par jhuth bhi to nahi.

Mana udaas ho tum,
Khyaalon ke bunti jaal ho tum,
Arey mana ki behad khuddar ho tum,
Par kajre ki kami bhi to jhuthi nahi.

Mana badal gayi ho,
Behad raubdaar ho gayi ho,
Par mere naam ko padhkar bhi rahat na aaye tumhe,
Baat ye sach hai par mumkin to nahi.

Ab soch jo liya hai tumne jaane ko,
Mann bana hi liya hai laut na aane ko,
To akhir ab bhi kyun tumhari duaon me naam hai mera,
Mana ki ye jhuth hai par namumkin bhi to nahi.

©mishra_shreyash

Comments

Popular posts from this blog

Dil me chupaun ya bol jaaun ki tum mere liye ho kya?

क्या कहोगे तुम?